You are on page 1of 1

Ya Zahra.

1) Ay meri bibi tere dar pe istighasa he


Tera mamnoon meri shehzadi ye jaha sara hai.
2) Tu hame hifz or amaan dede, apni chadar ke saiban dede
Teri kudrat me kya nahi bibi, tu jise chahe do jahaan dede.
3) Ay meri bibi aansu-o mein duwa mangi hai
Teri tasbee hi parke dil ne tuje pukaara hai.
4) Tera darbaar wo sakhi dar hai, har farishta jahaan gadaagar hai
Tere makrooz asmaan waale tera makrooz har sikandar hai.
5) Tu sakhi hai tere bache bhi
Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai.
6) Farshe majlis pe aur musalle par, har jawaa keh raha hai roro kar
Ham rahe na rahe magar bibi, ta qayamat rahe game sarwar
7) Ay meri bibi tere bacho ka gham manaa te hai
Apni awlaad se kahi barke gham ye pyara hai.
8) Karz makrooz ka adaa karde, mufliso ka naseeb wa karde
Jinki godi bhari nahi bibi unko awlaad tu ataa karde.
9) Ay meri bibi bas tuhi muraad deti hai
Teri chawkhat dare ilahi ka isti araa hai.
10) Farz momin se gham juda karde, bas ghame karbela ataa karde
Be khataa kayd me hai jo momin, mojize se unhe rihaa karde.
11) Ay meri bibi gham koyi hussainiyo ko na de
Jo Hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai.
12) Un shaheedo ka ye mukadar hai, sayibaan inka teri chadar hai
Unke sino pe ay meri bibi daaghe maatam nishaane haider hai.
13) Ay meri bibi khuld me shaheed jab jaye
Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai.
14) Majlise gham me ashk barsaane, aasake ya nahi khuda jaane
Kya bharosa hamaari saanso ka, ab kahaa ham kahaa azaa khaane.
15) Ay meri bibi ashke gham teri amaanat hai,
Teri awlaad ke hi gham ne hame sawaara hai.
16) Tujko ummat ne yu sataaya hai, marghe mohsin pe bhi rulaaya hai,
Tujko baba ke baad ummat ne, haaye darbaar me bulaaya hai.
17) Ay meri bibi kitne sadme utha hai tune,
Ji te ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai.
18) Ay meri bibi tere darpe sar jukaa te hai,
Har Hussaini ka tere tukro pe hi guzaara hai.

You might also like