You are on page 1of 2

Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai

Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai


Main tujh se door kaisa hun, tu mujh se door kaisi hai
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai
K muhabbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai
Kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai
Yahaan sab log kehtay hain meri aakhon mein aansoo hai
Jo tu samjhe to moti hain jo na samjhe to paani hai
Mat pooch k kya haal hai mera tere aagay
Tu dekh k kya rang hain tera mere aagay
Samundar peer k andar hai lekin ro nahi sakta
Ye aansoo pyaar k moti hain is ko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun lay
Jo mera ho nahi paaya wo tera ho nahi sakta
Bhramar koi kumudni par machal baitha to hangama
Humaray dil mein koi khwaab pal baitha to hangama
Abhi tak doob kar suntay thy sab qissa muhabbat ka
Main qissay ko haqiqat mein badal baitha to hangama
Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai
Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai
Main tujh se door kaisa hun, tu mujh se door kaisi hai
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai
K muhabbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai
Kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai
Yahaan sab log kehtay hain meri aakhon mein aansoo hai
Jo tu samjhe to moti hain jo na samjhe to paani hai
Bohat bikhra bahut
Hawaaon k ishaaron
Adhoora an'suna hi
Kabhi tum sun nahi

toota thaperray seh nahi paaya


par magar main beh nahi paaya
reh gaya yun pyaar ka qissa
paaey, kabhi main keh nahin paaya

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hangama


Humaray dil mein koi khwaab pal baitha to hangama
Abhi tak doob kar suntay thy sab qissa muhabbat ka
Main qissay ko haqiqat mein badal baitha to hangama
Main us ka hun wo
Bhari mehfil mein
Yaqee'n hai saari
Mujhe maaloom hai

is ehsaas se inkaar karta hai


bhi ruswaa har baar karta hai
duniya ko khafa hai hum se wo lekin
phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaaray choot jat ay hain
Koi jab roop garhta hoon to saanchay toot jatay hain
Main rota hoon to aakar log kandha thap'thapatay hain
Main hansta hoon to mujh se log aaksar rooth jatay hain
Mat pooch k kya haal hai mera tere aagay
Tu dekh k kya rang hain tera mere aagay
Samundar peer k andar hai lekin ro nahi sakta
Ye aansoo pyaar k moti hain is ko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun lay
Jo mera ho nahi paaya wo tera ho nahi sakta...

ll SilenT.beaTS ll

You might also like