You are on page 1of 1

( Act of Offering)

Ai Yisu meri haqir nazr qabul kar


Tu ne apne ap ko mujhe diya hai
Ab bakhsh de hi main
Apne ap ko tujhe dun main apna badan
Tere hawale karta hun taki gunahun se azad rahe
Main apna dil tere hawale karta hun
Taki wuh hamesha tujhe piyar kare
Main tere huzur apna har sans
Khususan akhiri sans pesh karta hun
Main apni tamam zindagi
aur maut tere hawale karta hun
taki main hamesha tak tera hi rahun
Amin

You might also like