You are on page 1of 1

n da (The Apostles Creed)

Main iman rakhta hun


Khuda Qadir I Mutlaq Bap par
Jo asman aur zamin ka khaliq hai
Aur Yisu Masih par jo us ka
Iklauta beta aur hamara Khudwand hai
Wuh Ruhu`l Quds ki qudrat se pet men para
Kunwari Mariyam se paida hua
Us ne Pantus Pilatus ke
Ahd men dukh uthaya
Maslub hua, mar gaya aur daIn
Kiya gaya barzakh men utra
Tisre roz murdon men se ji utha
Asman par charh gaya aur Khuda
Qadir I Mutlaq Bap ke dahine
Hath baitha hai, wahan se wuh
Zindon aur murdon ki adalat
Ke liye ane wala hai
Main iman rakhta hun
Ruhu`l Quds par, Pak Katholik
Kalisiya, muqaddason ki shirakat
Gunahon ki muaIi
Jism ke ji uthne
Aur hamesha ki zindagi par. Amin

You might also like