You are on page 1of 5

AQWAAL -E- HAZRAT ALI ( R.

A )
1- Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta, K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta, K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai.. Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon... K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai...... (HAZRAT ALI (R.A) 2- Aik Shakhs Ne Hazrat ALI(R.A) say Poocha, Q: Qarib Kya Hai? A: Qyamat Q: Or Qareeb Ter? A: Maut Q: Ajeeb Kya HAi? A: Duniya Q: Aur Ajeeb Tar? A: Talib-e-Duniya Q: Wajib Kya Hai? A; Toba Q: Or Wajib Tar? A: Gunah K Forun Bad Toba Q: Mushkil Kya Hai? A: Qaber Mein Utrna Q: Or Mushkil Tar? A: Amal K Bagair Utrna 3- Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya (HAZRAT ALI (R.A) 4-"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me

Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de" (HAZRAT ALI (R.A) 5- "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi, 1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo! 2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro! (HAZRAT ALI (R.A)

6- Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy, Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy. Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy. (HAZRAT ALI (R.A)

7- Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay. (HAZRAT ALI (R.A) 8- Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye! Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain! (HAZRAT ALI (R.A) 9- "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta, yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.." (HAZRAT ALI (R.A)

10- 4 Batain Elim Ka NIchour Hain, 1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.

2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho.. 3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,, 4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!! (HAZRAT ALI (R.A) 11- Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay. (HAZRAT ALI (R.A) 12- Kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain. (HAZRAT ALI (R.A) 13- "Golden Words" "Her INSAN ki izat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai" (HAZRAT ALI (R.A) 14-"Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... . (HAZRAT ALI (R.A) 15- Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq (HAZRAT ALI (R.A) 16- Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe ye tumaray haq main behtar he Bajaye es k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhe

(HAZRAT ALI (R.A) 17- Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai. (HAZRAT ALI (R.A) 18- Bay shak dunya or akhrat ki misal asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian hon 1 ko razi karta ha to dosri roth jati ha (HAZRAT ALI (R.A) 19- Naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai. (HAZRAT ALI (R.A) 20-"3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain: 1- Salam karna. 2- Kisi ko jagah dena. 3- ASAL NAM SE PUKARNA." (HAZRAT ALI (R.A) 21- Achi zindagi guzar ny k 2 tareeky hain. Jo pasand hain usay hasil kr lo ya Phr Jo hasil hain usay pasand kr lo. (HAZRAT ALI (R.A)

22- 3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge 1.Ghusay wala Durust faisly se 2.Jhoota Izzat se

3.Jald baaz Kamyabi se. (HAZRAT ALI (R.A) 23- Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he. (HAZRAT ALI R.A) 24- GHULAB KA PHOL BNO!KYUNK YEH PHOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI. (HAZRAT ALI (R.A) 25- Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hy QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hy. (HAZRAT ALI (R.A)

26- Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay. HAZRAT ALI (RA) 27- Jab main chahta hon "KHUDA"sy baat karon tu main "NAMAZ"parta hon or jab main chahta hon k "KHUDA" mujsy baat kary tu main"QURAN" parta hon HAZRAT ALI (R.A)

You might also like