Professional Documents
Culture Documents
ke sath likhi he amal ke sath koi khas shart nahin likhi to jo blog ke shuroo
me hidayat me likha he usi pe amal karain.
CHARAAGH:
amal keliy khas charagh likha ho jesay pital, kaansi, matti to wahi istmal me
lain warna jo apko muyassar ay wahi istimal karain, yad rakhain ke ap lamp
bhi istimal kar sakty hain agar khas hidayat na ho magar bulb ya energy
saver hargiz nahin, qk roshni ap ne aag se leni he jesay marzi lain, ap
candle bhi use kar saktay hain koi mazaiqa nahin. magar jis amal me likha
ho ke falan oil ya ghee istimal karain ap ne wahi karna he, kabhi bhi
hamzad ke amal me karwa oil istmal karnay ki ghalti na karain.
HISAAR:
hamzad ka aml agar qurani he to ayat al kursi gyara bar parh ke or awal o
akhir 11 bar darood e ibrahi hathon pe dam kar ke tamam badan pe hath
phair lain or amal shuroo karin. ye apka badni hisaar he koi chiz nuqsan na
day gi, qurani amal me kabhi bhi or kisi bhi soorat main circle laga ke
hisaar nahin karna hamzad ke amal me warna ap kabhi bhi kamyab nahin
ho sakty chahy poori ummar amal karty rahain qk hamzad ke amal me
hisar nahin kia jata or uski waja ye he ke agar ap amal se pehlay hisaar kar
letay hain to hamzad ap ke jism se bahar naikal ke ap kay samnay aa hi
nahi pay ga or hisaar ki mojoodgi me wo kabhi bhi ap ke jism se bahar
nahin ay ga, quran e majeed me hamzad ko qareen kaha gaya yeni sathi,
usay Allah ne insan ka sathi bana ke dunia me uskay sath lagaya he ap
cahahain bhi to usay bhaga nahin sakty ye qanoon e qudrat he jisay koi bhi
amil nahin badal sakta, or agar ap ne sifli ya shetani amal karna he to circle
wala hisar ap kar saktay hain qk un amliat me hmzad ki bajay koi or makhfi
shetani quwat apkay samny zahoor pazir hoti he, isliy jin hazrat ne mehz
kam lena he wo koi bhi amal karain unhain farq nahin parta or jin hazrat ne
waqai apnay hamzad ko massakhar karna he wo hazrat qurani amal karain
ya phir koi esa amal jis ki sehat mushtaba na ho or yaqin ho ke hamzad hi
samny ay ga, jo jadoo ke makoos amliat k amliat hain un me hamesha
hamzad hi samnay at he, esa biyan karnay ki zuroorat isliy mehsoos ki qk
shayad baz hazrat sifli, shetani or jadoo ke amliat ko ek hi chiz na samjh
lain, isliy iski detail pe main ne pehlay bhi ek post likhi he.
HAMZAD KA DARJA:
baz hazrat ye sawl karty hain ke is amal me hamzad kis darja ka hoga to
me apko aj woh bat batanay laga hoon jo aj tak apko kisi ne nahin batai ho
gi, ap books me parhtay hain ke hmzad quwat ke hisab se 4 darja ka hota
he, uski haqiqat pe bhi roshni daal doon qk is se enda keliy amal dekhty hi
apko pata chal jay ga ke is amal ka hamzad kitna qawi hoga, mohtram
hazrat, me ne hamzad ki quaton pe is blog me ek post likhi he or hamzad
Hamzad ke amal me agar koi khas bakhoor likha he to wahi use karain
nahi to googal, loban, chandan, pipalgard or hing hamzad ke amal ka
bakhoor he, or ye tamam chizain na kar sakain to koi ek bhi kafi he.
PARHAIZ E JILALI:
is silsilay me hi log sab se ziada pareshan hoty hain ke kia karain to apko
yahan ek gur or nukta ki bat bata doon ke parhez e jilali or woh bhi tark e
hewanat samet karna koi asan kam nahi or ye shart bhi har amal ke sath
nahi yad rakhiy ke agar apka amal sirf qurani ayat ya sirf ismay ilahi ka he
to ap ko parhez e jilali ki zuroorat nahin, or agar kisi amal e qurani ke sath
ye shart likhi he to is shart ko bypass karna mumkin he or iska tariqa ye he
ke ap rozadar rahain or sirf badboodar ashiya se parhaiz karain lekin agar
jafri qawanin se ap ne azimat waza ki he to phir apko karna hoga, or sifli or
shetani amliat ya makoos ayaat ke amal me parhez az had zurrori he or koi
khas parhez sath na likha ho to kisi mahir e ilm ki ray ke bina amal na
karain.
SHARAIT KI WAJOOHAT:
Aksar ahbab ne poocha ke agar hamzad ke amal ke sath falaan shart he to
wo shart q he? uski mantaqi waj kia he? to yahan me kuch sharait or unki
wajoohat bayan kar deta hoon. khanay pinay me jo chizain mana hain wo
ya to nasha war ashiya hain ya badboodar ashiya, baqi ashiy q mana hain.
to jin logon ne fiqa e islami parha he woh ye ilm rakhtay hain ke koi bhi chiz
jo islam me mana he uski bhi koi na koi wajja or illat zuroor hoti he, isi tarah
roohaniat ka silsila he yahan bhi wajoohat ki bina pe hi sharait or parhaiz
hain. khanay me jo ashiya mana hain unki waja ye he ke wo chizain ishtiha
angez hain amal e hamzad me to jazbat ko bharkany wali kitabain parhna
bhi mana he to khay ki ijazat kesay ho sakti he. upar jo me ne likha ke agar
ap roza dar rahen or ap qurani amal kar rahay hain to jilali parhez ki
zuroorat nahin us se bhi shayad ap ke zehen me sawl utha ho ke akhir esa
q he to uski waja ye he ke roza bhi apko tamam fawahish se rok deta he qk
hadis me ata he jo jazbat pe qaboo na rakh pay wo nikah karay takay pak
rahay or agar iski qudrat nahin rakhta to rozay rakhay. to agar roza nikah
ke fazail ataa kar sakta he to kia parhez e jilali jesi mamooli chiz ko bypass
nahin kar sakta? or yad rakhiy ke parhez e jilali apko Allah ka qurb ataa
nahin karta wo to bas zabt e nafs ka zaria he jabke roza zabt e nafs ka
taqaza bhi poora krta he or qurbe Allah bhi ataa karta he, ap dekh sakty
hain k hindoo bhi mantar ki sidhi keliy bart rakhna bataty hain, or jahan tak
taluk he kamra ki shart ka uski kuch bat to me upar kar chuka uski or bhi
mutadid wajoohat hain ek waja ye ke agar amal qurani he or koi napak
shakhs kamra me dakhil hua to apkay amal pe buray asrat muratib hon ge
doosri waja ye he doosra jo bhi shkhs enter hoga uska hamzad bhi sath
enter hoga or ap or apkay hamzad ka amal ka raz phir raz nahin rahay ga,
doosri makhlloqat maslan jin hamzad ke amal me amil ko na to daraty hain
na hi tang karty hain ye sab tamashay mehz hamzad ke hoty hain isliy
mana kia jata he ke us kamra me or koi dakhil na ho or ek shart ye he ke
kamza khali ho or us me safaidi ho uski waja ye he ke agar kamra me
saman mojood hoga to tawaja murtakiz ho g us taraf or ye ap khud tajarba
kar lain ge ke hamzad kamra ki chizon ko cherta he, hata ke baz okat
kamra me pari hui chiz ko itni zor se utha ke phaikay ga ke ao dang reh jain
ge, ye shart zuroori nahin ke kamzar khali ho saman mojood ho or ap
tawaja say pe rakhna jantay hon ap amal kar sakty hain.
LIBAS:
hamzad ka aml agar say se karna ho to hamesha chust jangia pehn ke
karain amal ke sath libas ka nahin likha hota jab bhi amal say se karna ho
yahi karna hoga han agar sath koi khas libas likha ho maslan ehram to
wahi pehnain.
SAYAA:
Amal agar dhoop me karna ho to waqt soorj ke taloo ya gharoob ka hargiz
na ho qk us waqt saya baht lamba hoga jab sooraj nisf al nahar ke qarib ho
tab karain, or agr charagh se amal karna he to charagh itna ooncha rakhain
ke saya mutanasib banay bahot bara na ban jay, or agr saya diwar pe
banaya jay to bhi thi darust he us soorat me ap chagh ziada ooncha na bhi
rakhain to saya darust banay ga.
BATNI TASKHEER:
Batni taskheer infact hamzad se rabt peda karny or usay manoos karnay
ka nam he, batni taskheer keliy sharait bahot narm or asan hain. batni
taskhir ke bad zahiri taskhir ka aml kia ja sakta he, batni taskheer ka jo
amal me ne blog me pesh kia us me kamra me or koi dakhil na ho ki shart
shamil nahin