Professional Documents
Culture Documents
Jub kisi zalim ke samne 50 martaba parh kar dum kar di jaye to zalim ke dil me iski hebat paida hogi aur uske sher se mehfooz rahega Inshallah.
Jismani Dard
Jism me dard ke ilaj keliye saans andar kheench kar 7 dafa dil me parhain aur sir dard, adhay sir dard aur tamam jismani dard par saans nikalte huwe dum karain. Dard ruk jayega Inshallah.
Joint Pain
Joint pain ya jismani dard keliye Surah Luqman ki ayat no. 26 ko 200 martaba parhain aur awal wa akhir Durood Sharif 11 martaba parh kar hatho me dum kar ke dard ki jagah per pherne se Inshallah dard jata rahega
Dushman Se Bachna
Agar koi Dushman ya hasid hath dho kar aap ke peeche para ho ya phir kisi dushman ki taraf se khatre ka andesha ho k maaz Allah koi nuqsan pohanchaye ga to uske liye aap ye amal kar sakte hain fajar ki namaz ke baad ya isha ki namaz ke baad rozana yeh
ki namaz ke baad 313 dafa parhain aur Allah swt se apne masail ke hul keliye iltija aur dua
karain wazifa ke start aur end me dua se pehle Durood Sharif 11 martaba parh liya karain Inshallah aap ke jumla masail hul hote rahaingay.
Amal Taskheer
Agar aap per kisi ka qurza hai ya aap ne kisi se loan liya hai aur woh qurza aap nahi de pa rahe, ya aap be-rozgar hain kahin kaam nahi milta ya phir bacho ki shadi keliye maal aur saaman ka intizam nahi to iss amal se Allah swt zaroor aap ki madad kariengay. Shart ye hai ke aap ye amal continueously karte rahien. Raat 2 baje uth kar iss amal ki niyat se ghusal karien. Saaf pak aur khushbudar kapre pehnain. Amal ke dawaran koi budbudar cheez hargiz istemal na karain jese pyaaz lehsun etc agar batiyan jalain ta ke kamre me khushbu ho aur ab aap qible ki taraf mu kar ke 500 dafa Allahu Samad parhain. Ab shamal ki taraf mu kar ke yahi 525 dafa parho phir mashriq ki taraf mu kar ke 533 dafa parho aur janoob ki taraf mu kar ke 535 dafa parhain aur phir beth jaien aur 500 dafa parhain. Lakin khayal rahe fajar ki namaz qaza na ho. Uske bad Allah se dua karien Ya Allah jiss maqsad keliye me ne ye amal ya hai wo Sadqa e Mohammad s.a.w.s wa aal e Mohammad s.a.w.s poora farma.
Her namaz k bad damagh per hath rakh kar Ya Qawi-u Ya Qawi-u 1 1 parhain aur awal wakhir 1 dafa Durood parhain.
dafa
2 Votes Kisi bhi jaiz qisam ki hajat ki Qazaa keliye 28 din keliye rozana isha ki namaz k bad 110 dafa Ain Ya Ali-u Bihaki Looma-eelu parha karain awal wakhir 3 dafa Durood Sharif Inshallah agar Allah swt ne chaha to inhi 28 dino me apki hajat qaza hojaye gi!